Now readingTanzeel Khan

Umeed

Umeed

Umeed

Yeah!Bahot dino bad aaj khula aasmaan haiKhali ye janeen aur bada taapmaan haiDharti ye shaant hai, ant ka paigam haiBimari ko bhi majhab de raha insaan hai
Awaaz kaun uthae beimaan toh awaam haiAb tere hi haatho mein desh ki ye jaan haiJo wafadaar unpe hi ilzaam haiVardi safed khakhi ko mera salaam hai
Ab ye na puchna kis galti saza miliHaa paison se bhi keemti bani hai inki zindagiKhusnaseeb khud ko samjho kya halat gareeb kiInsaniyat ko chhodo murdo ke liye jagah nahi
Ho kaisa ye manzar haiKyun lag rha mujhko darr haiIs marz ka kya hall haiSirf rabb ko ye khabar hai
Kal bhi suraj niklegaRoshan hoga ye jahanUmeed hi kar sakteAb yahan bas yahan
Itna kyun hai hum tanhaBeetega bhi ye lamhaKar sakte hai sirf ab hum duaHum dua!
Haan maut nahi dekhti kya tera hai mazhabSabar rakhle thoda aur sikhle tu sabakGhar mein hi baith agar asli tu maradKhuda se dua kar haan gunahgaar bankar
Tumhara bhi hai parivaar thoda zimedaar banoBhul ke bhedbhav khud se sawaal karoYahi waqt hai sab ek sath ladoEk sath lado bhale ek sath maroYahi waqt hai sab ek sath ladoEk sath lado bhale ek sath maro
Haan itna muskil nahi hai!
Huh kaisa ye manzar haiKyu lagra mujko darr haiIss marz ka kya hall haiSirf rab ko hi khabar hai
Kal bhi suraj niklegaRoshan hoga ye jahanUmeed hi kar sakteAb yahan bas yahan
Itna kyun hai hum tanhaBeetega bhi ye lamhaKar sakte hai sirf ab hum duaHum dua!
Huh agar mushkil lag raha hai ye abhiSocha hai kashmir ne kaate kaise din kabhiAzadi kya?Unke paas na tha internet bhi
Aur kitna muskil raha hogaUn auraton ke liye sabhiJo gaav mein bachpan se lockdown mein rahi
Socha hai?, nahi!Toh sochon un jawano ke baare meinJo rahe parivaar se door kabhi garmToh kabhi sard mein
Unke baare mein jo raheGareebi me submerged haiPar soch ke kya karoge?Na samajh paoge kabhi dard hai
Par iss baarGhar par hi baith agar tuAsli mard hai
Found a mistake in these lyrics? Please send us the correct lyrics through the contact form.

Watch now

Umeed Music Video

Behind the song

Credits, facts & answers

A quick guide built from the verified credits attached to this song.

FAQ

Good to know

Who sings Umeed?

Umeed is performed by Tanzeel Khan.

Who wrote the lyrics for Umeed?

The lyrics for Umeed were written by Tanzeel Khan.

Who composed the music for Umeed?

The music for Umeed was composed by Akarsh Shetty.

Which music label released Umeed?

Umeed is associated with Tanzeel Khan.