Khoya khoya Lyrics – Tkay
Khoya khoya Lyrics
Aaj kal khoya khoya rehta hu Sab kuch akele sehta hu Par kisi se na kuch kehta hu Lekin aaj dard bhar hain Muhtod bolunga One one one tkay
Dil ki hain baat bayaan karun zubaan se Zubaan se main pakka Par kacha hu main kaan se Bhara takleef se jitne taare aasmaan mein Mar ke bhi likhta rahuga main shamshaan mein Man mein rakhi baate mujhe andar khaayi jaari hain Karta hu main pooja phir bhi shani mujhpe bhaari hain Vo konse saaf saale bolte bhramhachaari hain Bolenge mere kaakh bas banda main likhaari ae
Kushiyaan hain paane ki talab beshumaar Main bhi khada line mein badi hain kataar Mehnat na karta par kismat ki hain maar Samay hain kharaab tabhi chup hu janaab
Kisi ke hunar ka mazaak banana art hain kya Apni baat rakhna hip-hop ka part hain na Jo tere saath vo dil se saath hain kyaa Tujhe koyi judge kare uski aukaat hain kya?
Khoya khoya rehta hu apni hi dhun mein Jatana hu chahta koyi meri bhi sunle Is bhari hui zindagi mein mujhe bhi koyi chun le Keeda hain likhne ka bas mere khoon mein
Khoya khoya rehta hu apni hi dhun mein Jatana hu chahta koyi meri bhi sunle Is bhari hui zindagi mein mujhe bhi koyi chun le Keeda hain likhne ka bas mere khoon mein
Stress se bharpur saar din anxiety hain Koyi bhi ni bas mera allah all-mighty hain Shabd mere dava dose bade highly hain Keechad se mailee ye gandi society hain Kushiya main dhundta par unki to vacations Sabko ban na star par kisi mein na patience Success ko likh kar deta invitation Kehna chahta bohot par hoti hesitation
Chehere pe hain jhurriya jese seeshe pe tareed ho Rap karun ese jese daali main raid ho Bol mere footey jese daala hain grenade ko Chale chaal meri jese jale jungle ped ho Bahar se mazboot par andar saal khandit hu Rabh ko main maanta na dhongi pandit hoon Bandha hua main mariyada ki zanjeer me Pyaar kitna rap se dikha du seena cheer ke
Khoya khoya rehta hu apni hi dhun mein Jatana hu chahta koyi meri bhi sunle Is bhari hui zindagi mein mujhe bhi koyi chun le Keeda hain likhne ka bas mere khoon mein
Song Credits
Song: Khoya khoya
