O Aasman Wale Lyrics – Jubin Nautiyal
O Aasman Wale Lyrics
Ranjhon se unki heere Bichdengi kitni baar Aye kaash ab kisi ko Ho na ab kisi se pyaar
Duniya banane wale Tune ye kya kia Jo dil diya tha tune To fir dard kyu diya
Aanshu ki tarah ek din Aanshu ki tarah ek din Tu aankhon se guzar ke dekh
O aasman wale Jameen par utar ke dekh O aasman wale Jameen par utar ke dekh
Hoti hai kya judai Ye tu bhi bichad ke dekh
O aasman wale Jameen par utar ke dekh O aasman wale Jameen par utar ke dekh
Tere mere darmiyan hai Oh khudaya farak kitna Tujhe kya pata ki yaadein Deti hai dard kitna
Seene pe kab tadapke Rakha hai haath tune Mere tarah kab guzari Ro ro ke raat tune
Mere dil ke jaise ek din Mere dil ke jaise ek din Tukdo mein bikhar ke dekh
O aasman wale Jameen par utar ke dekh O aasman wale Jameen par utar ke dekh
Toote kitne taare Choote kitne log Kitno ko leke dooba Ye ishq wala rog
Kitne hi saaye tune Jismon se kiye door Kitne dilon ke sheeshe Tune kiye hai choor
Ro dengi teri aankhein Ro dengi teri aankhein Ginti to karke dekh
O aasman wale Jameen par utar ke dekh O aasman wale Jameen par utar ke dekh
Hoti hai kya judai Ye tu bhi bichad ke dekh
O aasman wale Jameen par utar ke dekh O aasman wale Jameen par utar ke dekh
O aasman wale Jameen par utar ke dekh
Song Credits
Song: O Aasman Wale
Artist: Jubin Nautiyal
Actor: Jubin Nautiyal, Neha Khan
Lyricist: Manoj Muntashir
Musician: Rochak Kohli
Label: T-Series
