Jaana Lyrics – Stebin Ben
Jaana Lyrics
Tujhe gale se lagana hai barish mein Aur poora bheeg jana hai barish mein Tujhe choo ke sharmana hai barish mein Aur tere sath nahana hai barish mein
Jaana jaana jaana jaana
Oh aashiq thode hote hai Jo dar ke andar hote hai Jo sawan ke mahine mein Bhi ghar ke andar hote hai
Tere hatho ka khana hai barish mein Aur poora bheeg jana hai barish mein Tujhe choo ke sharmana hai barish mein Aur tere sath nahana hai barish mein
Jaana jaana jaana jaana
Tu mere samne hai kya nazara hai Kya nazara hai kya nazara hai Tu mere samne hai kya nazara hai Ye pani ki boondo ka khel hai sanam
Oh tera mera milna koi aam baat nahi Ye radha aur krishna ka mel hai sanam Oh khwab mere khayal mere bohat hote hai Jitne paas aankhon ke hoth hote hai
Tere itne paas aana hai barish mein Jaani ka gana gana hai barish mein Tujhe choo ke sharmana hai barish mein Aur tere sath nahana hai barish mein
Jaana jaana jaana jaana
Oh haye kisi film ka scene lagega Scene lagega scene lagega Oh haye kisi film ka scene lagega Ke badal yun garje ke bhag aao tum
Haye itni zor se chamke bijliyan Ke dar ke mare mere gale lag jao tum Bahana yun banana hai barish mein Aur khuda ko mana na hai barish mein
Chand niche lana hai barish mein Aur tere sath nahana hai barish mein Jaana jaana jaana jaana
Song Credits
Song: Jaana
Artist: Stebin Ben
Actor: Kamya Chaudhary, Stebin Ben
Lyricist: Jaani
Musician: Hunny & Bunny
Label: Desi Melodies
