Woh Lyrics – Ikka & Dino James | Badshah
Woh Lyrics
Hum to doobe hai Unki tasveeron mein Mile sakoon nahi Unke bin neendon mein
Kya yaad mujhe bhi Karti hogi woh Kya yaad mujhe bhi Karti hogi woh
Ab uska pata nahi Dil mein jo rehta tha Uski baton ke Afsane likhne baitha

Haan maine kari ye khata Liya mera side Galti chupa ke sare Black ko kiya white
Mere bina she’s dying Failaun main afwaahein Kafi sara kehna Par pata nahi tu kahan hai
Jaise miss main karun Baby you miss me kya Mere birthday mein Beta tune wish nahi kiya
Dino strong hai bata ye Tujhe kisne kaha Khair ab to jhelna padega Pain ye hisse ka
Kya purane apne chat’s ko Tu karti hogi read Kya tu type karke messages Karti hogi delete
Kya tu bhi poochna chahti hai Ki kaisa hai tu d Kya tu bhi try kar rahi hai Are you trying to reach
Tere khayal mein nahi hoon Par tu khayal rakhna D sath mein nahi thoda malal rakhna Jo bhi tha mere paas wo hua exhaust Wapis pyaar karne ki karun majaal ab na
Hum to doobe hai Unki tasveeron mein Mile sakoon nahi Unke bin neendon mein
Kya yaad mujhe bhi Karti hogi woh Kya yaad mujhe bhi Karti hogi woh
Khayal tera dil se Mitaya nahi abhi Tu gayi fir dil Ye lagaya nahi kabhi
Bewafa maine Tujhko bulaya nahi abhi Pyaar kiya bas Tujhe ginwaya nahi kabhi
Bas ginni barsatein Aur tere diye gham Dil maane nahi baat Ke ab sath nahi hum
Bhole baba thoda karo In kashton ko kam Mere sath kali rat Aur ek poori bottle rum
Poori raat nahi Sober daru badi pee hai Ye jo mohabbat Khayalon mein hi jee hai
Hum to mare ja rahe hai milne ko Kya tune bhi milne ki Koshish kabhi ki hai
Meri yaad mein tu royi Roti khayi tune nahi hai Doston ko bola mere baare Bura nahi hai
Chhod ke tu gayi Par banda khada wahin hai Galat bas hum Wo to ladki hai to sahi hai
Hum to doobe hai Unki tasveeron mein Mile sakoon nahi Unke bin neendon mein
Kya yaad mujhe bhi Karti hogi woh Kya yaad mujhe bhi Karti hogi woh
Yeah!
Jo dikhe na wo dard nahi kya Mahaul ye sard nahi kya Aansu na dikhe aankhein hain kiski Jo rota hai wo mard nahi kya
Ye bata mujhe ke kaun nahi rota Main humare kamre mein nahi sota Light’e band tv on nahi hota Main hoon old school Mujhse move on nahi hota
Jane wo kahan gayi Pehle bhi lade hai Ye pehli dafa nahi
Par kabhi aisi Hui woh khafa nahi Galti hai meri Woh bewafa nahi
Maine aisa kyun kiya Pichle mahine cancel Har show kiya Kal flight mein yun hi Baithe baithe ro diya
Tere jane pe pata chala Maine kya kho diya
Hum to doobe hai Unki tasveeron mein Mile sakoon nahi Unke bin neendon mein
Kya yaad mujhe bhi Karti hogi woh Kya yaad mujhe bhi Karti hogi woh
Ab uska pata nahi Dil mein jo rehta tha Uski baton ke Afsane likhne baitha
Kya yaad mujhe bhi Karti hogi woh Kya yaad mujhe bhi Karti hogi woh
Rahun main jaise Dooba dooba dooba sa Soona soona soona sa Bhoola bhoola bhoola sa Tere bin

Lagun main jaise Dooba dooba dooba sa Soona soona soona sa Bhoola bhoola bhoola sa Tere bin
Rahun main jaise Dooba dooba dooba sa Soona soona soona sa Bhoola bhoola bhoola sa Tere bin
Song Credits
Song: Woh
Artist: Badshah, Dino James, Ikka
Lyricist: Badshah, Dino James, Ikka
Label: Dino James