Aarambh Lyrics (Gulaal) – Piyush Mishra

Aarambh Lyrics

Aarambh hai prachand Bole mastakon ke jhund Aaj jung ki ghadi ki Tum guhaar do

Aan baan shan Ya ki jaan ka ho daan Aaj ek dhanush ke baan pe Utaar do

Aarambh hai prachand
Man kare so pran de Jo man kare so pran le Wahi to ek sarvashaktiman hai

Krishn ki pukaar hai Ye bhagavata ka saar hai Ki yuddh hi veer ka praman hai
Kauravo ki bheed ho ya Paandavo ka neerh ho Jo lad saka hai Wohi to mahaan hai
Jeet ki hawas nahi Kisi pe koi vash nahi Kya zindagi hai Thokaron pe maar do
Maut ant hai nahi To maut se bhi kyon daren Ye jake aasman mein dahaad do
Aarambh hai prachand Bole mastakon ke jhund Aaj jung ki ghadi ki Tum guhaar do
Aan baan shan Ya ki jaan ka ho daan Aaj ek dhanush ke baan pe Utaar do
Aarambh hai prachand
Ho daya ka bhav Ya ki shaurya ka chunab Ya ki haar ka wo ghab Tum ye soch lo

Ya ki poore bhal par Jala rahe vijay ka lal Lal ye gulaal tum ye soch lo
Rang kesari ho ya Mridang kesari ho ya ki Kesari ho taal Tum ye soch lo
Jis kavi ki kalpana mein Zindagi ho prem geet Us kavi ko aaj tum nakaar do
Bheegti mason mein aaj Foolti ragon mein aaj Jo aag ki lapat ka Tum baghar do
Aarambh hai prachand Bole mastakon ke jhund Aaj jung ki ghadi ki Tum guhaar do
Aan baan shan Ya ki jaan ka ho daan Aaj ek dhanush ke baan pe Utaar do
Aarambh hai prachand Aarambh hai prachand Aarambh Hai Prachand
If Found Any Mistake in above lyrics?, Report using contact form with correct lyrics!

Song Credits

Song: Aarambh

Album: Gulaal

Artist: Piyush Mishra

Actor: K K Menon

Lyricist: Piyush Mishra

Musician: Piyush Mishra

Label: T-Series