Kuch Yaadein Lyrics – Suyyash Rai | Munawar
Kuch Yaadein Lyrics - Suyyash Rai
Fir tanhaiyon me ghir raha hoon Mujhe firse dhundhe hai mera kal
Yaadoon se bhi lad raha hoon main Unhi yaadon mein dooba din bhar ek pal Kabhi mil sake agar kya mil payenge Sab hum bhool kar bhool kar
Kuch yaadein hai jo jeene na de Kuch yaadein hai jo zinda rakhe hame Kuch yaadein hai jo jeene na de Kuch yaadein teri zinda rakhe hame
Sihana khali mujhe yaad teri aa rahi Bhookh maar chuki hai fikr teri khaa rahi Tere bina khud ko dekh bhi nahi sakta Ghar ke aahinon pe bas dhool jamti ja rahi hai
Jab uthe hath mere toh bas duaon mein Le ke andhere tujhe de raha subahon mein Is ke alava dene ko kya hi bacha hai Agar ye aashiqui jua to kitni bar luta hu main
Jalaye sardion barsaat mein wo baat nahi hai Sab kuch hai paas mere sath tera sath nahi hai Rakhe aaya tha main phool dahleez pe Badal liya thikna tune khair koi baat nahi hai
Na jaane kaisa yeh sajdon mein shor hai Tere baad mehfil-e-khamosh hai Hum donon hubahu ek jaise hai Main kehta uska wo kehti mera dosh hai
Aa ke dekh teri yaad ne kya kar diya hai Yahan aa ke dekh samndar is mein bhar liya hai Taras ata nahi haal par khud ke Main ne khud ke khilaaf khud ko kar liya hai
Kuch yaadein hai jo jeene na de Kuch yaadein teri zinda rakhe hame
Song Credits
Song: Kuch Yaadein
Artist: Munawar Faruqui, Suyyash Rai
Actor: Aneri Vajane, Ankita Kukreti, Munawar Faruqui
Lyricist: Munawar Faruqui, Suyyash Rai
Musician: Siddharth Singh, Suyyash Rai
Label: VYRLOriginals
