Neend Lyrics – Kaka
Neend Lyrics - Kaka
Neend ka toh kya hai Aaye na aaye Agar tu aa jaaye Toh sona hi kyun hai
Hai itni bechaini ki Haal na koi puchhe Agar puchhe tu toh Rona hi kyon hai
Roya hi nahi main Haar to chuka hu Mara nhi bas Mann maar to chuka hu
Maut ka bhi kya hai Kal ki aaj aaye Aaj ki abhi aaye toh Maut me sukoon hai
Hai itni mayoosi ki Haal na koi puchhe Agar puchhe tu toh Rona hi kyun hai
Hai kon tu mujhe yeh toh bata de Ishq agar mujhse hai toh thoda sa jata de Maayoosiya mita de, jata ke bata de Ke shiddat hai kitni aur kitna junoon hai
Neend ka toh kya hai aaye na aaye Agar tu aa jaaye toh sona hi kyu hai Hai itni udaasi ki haal na koi puchhe Agar puche tu toh rona hi kyon hai
Main yeh ghazal Yeh bairaag yeh andhera Yeh hai mere Inka main kon tera
Main yeh ghazal Yeh bairaag yeh andhera Yeh hai mere Inka main kon tera
Maana ki tu mere na hone se khush hai To palko ko ashko se dhona hi kyun hai Neend ka toh kya hai aaye na aaye Agar tu aa jaye toh sona hi kyu hai
Hai itni udaasi ki Haal na koi puchhe Agar puchhe tu toh
Song Credits
Song: Neend
Artist: Kaka
Actor: Kaka, Shivani Nryaal
Lyricist: Kaka
Musician: Kaka
Label: Kaka Ji Records