Aatmvishvas Lyrics – Amit Bhadana | Badshah

Aatmvishvas Lyrics by Amit Bhadana has sung by Badshah. The music of latest Hindi song given by Badshah and Aatmvishvas lyrics also written by Badshah while video present by Amit Bhadana Get Aatmvishvas Song Information

Aatmvishvas - Amit Bhadana

Chhodi naa kasar koyi, Mujhko girane mein, Mujhko haraane mein, Mitti mein milane mein.
Innhe kya pata main mitti se hi toh aaya, Hans ke saha maine har ek waar, Yahan tak laaya mujhe aage bhi le jayega, Maa ki duaein aur fans ka pyaar, Hai mujhe vishwas.
Pathar meri oar fenke unse raste banaye, Trending no.1 video chahe saste banaye, Dil mein dukhon ke kandhe pe, Zimmedari ke pahaad, Phir bhi video maine hanste hanste banaye.
Ek alag anokha sa andaaz leke aaya, Apne jaiso ke aage main awaaz leke aaye, Logo ko mitti ke thoda paas leke aaya, Middle class mein main class leke aaya.
Baat style ki nhi chehro pe smile ki hai, Gaale mein chain nahi kano mein baaliyan nahi, Content aisa diya jisme galiyan nahi, Aise kaam ko milti yahan taliyan nahi.
Phir bhi bina ruke lagatar kaam leke aaya, Jin pe karo tum amal aisi main baat leke aaya, Jiska khud ka pariwar kabhi poora na hua, Tumhare pariwar ko ek saath leke aaya.
Chhodi na qasar koyi, Mujhko girane mein, Mujhko harane mein, Mitti mein milane mein.
Innhe kya pata main mitti se hi toh aaya, Hass ke saha maine har ek waar, Yahan tak laaya mujhe aage bhi le jayega, Maa ki duaein aur fans ka pyaar, Hai mujhe vishwas.
Hai mujhe vishwas, Aatmvishvas , Hai mujhe vishwas, Aatmvishvas .
Kuchh log ye bhi kehte hain, Ki ab amit pehle jaisi video nahi banata, Suno ek hi baat dohra kar, Main apna talent nahi gawata, Isey meri kamzori nahi taakat samjhna, Pehle jaisi video banakar, Aaj bhi 50 million le lu, Lekin main aap logo ka fayada nahi uthata, Main aaj jo kaam karta hu, Woh kal ka trend banta hai, Naya din aa jaata hai, Jab bhi sooraj nikalta hai, Tumhara bhai zamaane ke saath nahi, Waqt se aage chalta hai.
Jazbaat bade hain, Jo batane hain tumhein, Lekin abhi toh kitne hi record hain, Jo banane hain mujhe.
Jinhone mujhe ek ke baad ek ghaav diye, Unko toh abhi daav dikhane hain mujhe, Jo ye soche amit ka wakt hua khatam, Unnko toh abhi waqt dikhana hai mujhe.
Abhi khona hai mujhe, Kaafi paana hai mujhe, Jahan kisi na socha, Wahan jaana hai mujhe, Tumhein laga tum jaan gaye mujhe, Asli bhadana se toh abhi milana hai mujhe.
Janta ka payar mila hai behisaab, Lekin aur bhi kaafi kamana hai mujhe, Apne maa aur babu ji ka naam roshan karke, Is duniya se jaana hai mujhe, Kaash papa ji aap saath hotey.
Chhodi na kaqar koyi, Mujhko girane mein, Mujhko harane mein, Mitti mein milane mein.
Innhe kya pata main mitti se hi toh aaya, Hass ke saha maine har ek waar, Yahan tak laaya mujhe aage bhi le jayega, Maa ki duaein aur fans ka pyaar, Hai mujhe vishwas.
Hai mujhe vishwas, Aatmvishvas , Hai mujhe vishwas, Aatmvishvas .
Shukriya un logo ka jo sath khade hain, Mere peeche meri maa aur bholenath khade hain, Kaise mujhse jalne wale girayenge mujhe, Mere chahne walon ke hath bade hain, Mere dost jo sath har saans khade hain, Pankaj avinash aur vikas khade hain, Koyi zyaada 3-5 karne ke mood mein ho toh, Woh hath mein leke baans khade hain.
Aye shukriya tumhari bhabhi ka, Jisne bina shart ke saath diya, Sabse bada shukriya tum logo ka, Jinhone gire hue amit ko hath diya, Shukriya un meme page walon ka, Jinhone mujhpe lagatar banaye meme, Shukriya har ek awaaz ka, Jo mujhe dekh ke karti hai scream, Shukriya meri mehnati tema ka, Shukriya youtube ka, Shukriya meri maa ka, Jisne meri aakhon mein daale hain ye dream.
Chhodi na kaqar koyi, Mujhko girane mein, Mujhko harane mein, Mitti mein milane mein.
Inhe kya pata main mitti se hi toh aaya, Hass ke saha maine har ek waar, Yahan tak laaya mujhe aage bhi le jayega, Maa ki duaein aur fans ka pyaar, Hai mujhe vishwas.
Hai mujhe vishwas, Aatmvishvas , Hai mujhe vishwas, Aatmvishvas .
Main nahi kehta, Meri video ko like comment share karo, Aur channel ko subscribe karo, Main kehta hu like karna hai, Toh mere ache kaam ko karo, Comment hai toh jab main aapse milun, Toh gale laga kar karo, Share karna hai mere vicharon ko karo, Aur subscribe karna hai, Toh sirf button se nahi, Dil mein subscribe karo.
Aapka apna amit bhadana.
Written by: Badshah
If Found Any Mistake in above lyrics?, Report using contact form with correct lyrics!
Aatmvishvas Lyrics - Amit Bhadana | Badshah

Aatmvishvas Song Info:

Song: Aatmvishvas
Singer(s): Badshah
Musician(s): Badshah
Lyricist(s): Badshah
Cast: Amit Bhadana
Label(©): Amit Bhadana
Scroll to Top