Baarishon Mein Lyrics – Darshan Raval
Baarishon Mein Lyrics
Itna tera intezar kiya Dil ko khafa sau baar kiya Tujhse wafa maine ki is kadar Teri judai se pyaar kiya
Toot jaye jo rishtey Lazmi to nahi ye Ki dilon se mohabbat ho khatam
Baarishon mein jab Yaad aate ho tum Bheeg jata hoon main Muskurate hai gam
Main zameen ki tarah Tarsa hoon pyaar ko Badlon ki tarah Laut aao sanam
Baarishon mein jab Yaad aate ho tum Bheeg jata hoon main Muskurate hai gam
Chodke mujhko jaha baithe ho Kaisa waha nazara lagta hai
Chodke mujhko jaha baithe ho Kaisa waha nazara lagta hai Todke pairon mein jo rakha hai Wo dil humara lagta hai
Janta hoon main yun to Tum kabhi na miloge Fir bhi tumko hi dhoonde ye kadam
Baarishon mein jab Yaad aate ho tum Bheeg jata hoon main Muskurate hai gam
Main zameen ki tarah Tarsa hoon pyaar ko Badlon ki tarah Laut aao sanam
Baarishon mein jab Yaad aate ho tum Bheeg jata hoon main Muskurate hai gam
Song Credits
Song: Baarishon Mein
Artist: Darshan Raval
Actor: Darshan Raval, Malvika Sharma
Lyricist: Gurpreet Saini
Musician: Darshan Raval
Label: Sony Music India
