Bewafa Lyrics – Paras Chopra

Bewafa Lyrics

Ho ik bewafa ne aisa, Mera haal kar diya, Ik bewafa ne aisa, Mera haal kar diya.
Mere dil main reh ke dil ko, Barbaad kar diya.
Raton ko uth uth ke rota tha main, Tere khyaalon mein khota tha main, Jab bhi yaad aata tha naam tumhara, Ashkon se aankhein bhigota tha main.
Pagal awara diwana tha main, Par tera aashiq purana tha main, Dhokha fir tune kyu mujhko diya, Tera hi tha na begana tha main.
Oh mera dil tod ke kyun, Behaal kar diya, Mere dil main reh ke dil ko, Barbaad kar diya.
Ik bewafa ne aisa, Mera haal kar diya.
Wo waade tumhare wo baatein tumhari, 1-1 kar ke main likh dunga sari, Jhutha tha pyaar wo jhuthi wafayein, Na jante the hai maut hamari.
Pagal hai dil ye samajhta nahi, Kehta hai wo ye kar sakta nahi, Kya isko bolu main kya samjhaun, Keh dega ab main dhadakata nahi.
Jaan ne jaan le kar, Kya kamaal kar diya, Mere dil main reh ke dil ko, Barbaad kar diya.
Ik bewafa ne aisa, Mera haal kar diya.
If Found Any Mistake in above lyrics?, Report using contact form with correct lyrics!

Song Credits

Song: Bewafa

Artist: Paras Chopra

Actor: Nishant Malkhani, Tanvi Gadkari

Lyricist: Paras Chopra

Musician: Avvy Sra

Label: White Hill Beats