Bharat Ek Saath Hai Lyrics – Sonu Sood

“Bharat Ek Saath Hai” is the latest Hindi Poem by Sonu Sood. The lyrics are penned by Sonu Sood. The music is given by M Veer. This is dedicated to our brave Corona warriors, who are performing their duties day and night, even in the face of this epidemic, risking their lives, for the safety of their country and countrymen.. Get Bharat Ek Saath Hai Song Information

Bharat Ek Saath Hai Lyrics

Maana ki ghani raat hai, Is raat se ladne ke liye, Poora bharat ek saath hai.
Teri koshish meri koshish rang layegi, Maut ke is maidan mein zindgi jeet jayegi, Phir usi bheed ka hissa hoge, Bas sirf kuch hi dono ki baat hai.
Maana ki ghani raat hai, Magar poora bharat ek saath hai.
In unchi unchi imaarato ki, Chhoti chhoti khidkiyo mein sapne bade hai, Filhaal sambhal jaan bacha, Sadko par tere mere rakhwale khade hai, Phir khushiyo ka mausam aayega, Pakka apna vishwas hai.
Maana ki ghani raat hai, Is raat se ladne ke liye, Poora bharat ek saath hai, Maana ki ghani raat hai.
Koyi maut se ladkar zindagi bacha raha hai, Koyi kachra uthaakar bhi taali baja raha hai.
Koyi khud ki parwaah kiye bina, Apna farz nibha raha hai, Insaaniyat hai sabse pehle, Na koyi dharm na jaat hai.
Maana ghani raat hai, Magar aaj poora bharat ek sath hai.
Jisne tera ghar sawaara, Aaj wo khud beghar hai, Chal pada hai sadak naapne, Chehre pe shikan mun me dar hai.
Aao khol de apne ghar ke darwaje, Kahe kuch din bas yehi tera ghar hai.
Maana ghani raat hai, Magar poora bharat ek sath hai.
Written by: Sonu Sood
If Found Any Mistake in above lyrics?, Report using contact form with correct lyrics!
Bharat Ek Saath Hai Lyrics Sonu Sood

Bharat Ek Saath Hai Song Info:

Song: Bharat Ek Saath Hai
Singer(s): Sonu Sood
Musician(s): M Veer
Lyricist(s): Sonu Sood
Label(©): T-Series
Scroll to Top