Dil Kahi Ka Lyrics – Dino James
Dil Kahi Ka - Dino James
Apni mann marzi chalaye Na sune ye nashpitta Na marham de na reham de Ya to feeka ya hai tikha
Koyi toh bataye Sang rehne ka saleeka Gudgudaye phir rulaye Ziddi saala dil kahi ka
Mazburiyan thi ye pagla na jane Mujhse khafa hai khamkha Zakhmo ko bharne me wakt lage hai Itna na samjhe ye muaa haan
Main kaise mitaau jo Taqdeer mein tha likha Bargalye tilmilaye Hai irada khudkushi ka
Mann marzi chalaye Na sune ye nashpitta Na marham de na reham de Ya toh feeka ya hai tikha
Bikhre wo kisse bharke lifaafe Bheje pate pe kyun pata ni lapata Bechainiyon ke odhe lihaafe Dum ghut raha hai Aur main dum hu khojta
Naya kya main batau Tu toh jane sara kissa Ya salaah de ya saja de Ya to jootha de dilasa
Mann marzi chalaye Na sune ye nashpitta Na marham de na reham de Ya toh fika ya hai tikha
Koyi toh bataye Sang rehne ka saleeka Gudgudaye phir rulaye Ziddi saala dil kahi ka Ziddi saala dil kahi ka
