Ek Tarfa Lyrics – King | Khwabeeda
Ek Tarfa Lyrics
Tu fir se paas aa Main zid nahi karunga Tu fir se door ja Main kuch nahi kahunga
Jo tere jane se main Baitha hu mehkhane mein Main kha chuka hun dhoka Peene se nahi marunga
Jo tujhse seekha hu Tujhi pe to likhunga Jo tujhko chahunga Tujhi pe to mitunga
Jo haske aunga Main fir se tere samne Hu napasand bata diyo Main fir nahi dikhunga
Maine dekha tujhme saadgi rahi nahi Maine dekha tune koshishe bahot kari Kehe jo tujhko apne hathon se saja du Hai kami tu pehne bahot Fir bhi lagta kyu saji nahi
Aaj bhi aise dekhe maine dayere nahi Ke tujhse baant lu Main khud ko keh du aa rahe Nahi hai tumse milne
Bewafa hi the jo haske keh diya Ke hum bhi dhokhe kha rahe nahi
Jo fir se dekha Meri rukh chali kalam thi Dil dhadakta aankhein bheegi Baatein tang thi Jo tujhko socha mera poora ek janam thi Jab tujhko dekha kisi aur ki sanam thi
Dil to dukhta hai Par jeena padhta hi hai Suraj se chaand bhi Akele ladta hi hai
Main kitna bhoolun Kissa tera adta hi hai Jo karde faasla To pyaar badta hi hai 
Gaane to chal rahe Par baat teri meri hai Chirag bujh gaye Par raatein teri meri hai
Hua vo ek na Jo 7 janam ka wada tha To iss sadi main jana Kya aukat teri meri hai?
Mana main sab hi kuch Jeeta kuch bhi hara na Par jisko hara Usko dekha fir dobara na, Jo dhas gaya hu jaake rait mein Main aankhon tak Tu hai samundar mujhpe Boond ka sahara na
Na mujhse pooch Mere haal kya sitaron ka Na dum tu kha ye aake Noto ki deewaron ka Hai paisa kya tu Choti baatein na kiya kar Main bas pyaar se gareeb Mujhko mol na hazaro ka
Jo mujhse puch le Tu rasta baharon ka To haske keh du Tu nazara meri aankhon ka Main jisko kosne chala hu Uska naam yaad fir bhi likh na pana Dosh kaam hai gawaron ka 
Jo tujhko dekha Aasman mein chand tha nai Kahi pe chhup gaya Ke kehta lagta nahi
Isse haseen maine dekha Kahi kuch ke log Yun hi likhte rehte mujhpe Aye khuda main chand nahi
Ye tere reshmi Jo baal jaal sazi hai Mara nahi par Jeete ji tu meri faasi hai
Daba nahi gala Kyu sanse meri ghut rahi Main kya hi du saza Ja teri har saza hi maafi hai
Mujhe khabar nahi Tu kis zuban mein razi hai Dikhe asar nahi Tu kis dua mein baki hai
Agar kabhi main Tere samne se guzrun Mujhko mil tu ya nahi Par teri ek nazar hi kaafi hai
Ek tarfa main naam bhi bana lunga Ektarfa mein naam bhi chhupa lunga Ek arsa jo beete teri yadon mein Main hoke mashhoor Tujhpe zindagi luta dunga
        