Hum Katha Sunate Lyrics – Uttar Ramayan
Hum Katha Sunate Song Lyrics
Om shri maha ganadhi pataye namah Om shri uma maheshwara bhyam namah
Valmiki gurudev ke kar pankaj sir naam Sumire maat saraswati hum par ho hu sahaar Maat pita ki vandana karte baaram baar Guru jan raja praja jan naman karo swikar
Hum katha sunate ram sakal gun dhaam ki Hum katha sunate ram sakal gun dhaam ki Yeh ramayan hai punya katha shri ram ki
Jambu dweepe bharat khande aryavarte Bharatvarshe ek nagri hai vikhyat Ayodhya naam ki
Yahi janmabhoomi hai param pujya shri ram ki Hum katha sunaate ram sakal gun dhaam ki Ye ramayan hai punya katha shri ram ki Ye ramayan hai punya katha shri ram ki
Raghukul ke raja dharmatma Chakravarti dashrath punyatma Santati hetu yagya karvaya Dharm yagya ka shubh phal paya
Nrip ghar janme char kumara Raghukul deep jagat aadhara Charon bhraton ka shubh naamah Bharat shatrughan lakshman rama
Guru vashisht ke gurukul jaake Alp kal vidya sab paake Puran hui shiksha raghuvar puran kaam ki Hum katha sunaate ram sakal gun dhaam ki Ye ramayan hai punya katha shri ram ki
Mridu swar komal bhavana rochak prastuti dhang Ek ek kar varnan karein luv kush ram prasang Vishwamitra mahamuni rai inke sang chale do bhai Kaise ram tadka maari kaise nath ahilya taari
Munivar vishwamitra tab sang le lakshman ram Siya swayamvar dekhne pahunche mithila dham Janakpur utsav hai bhari janakpur utsav hai bhari Apne var ka chayan karegi sita sukumari Janakpur utsav hai bhari
Janak raj ka kathin pran suno suno sab koyi Jo tode shiv dhanush ko so sita pati hoye
Koh tode shiv dhanush kathor Sabki drishti ram ki oar Ram vinay gun ke avtar Guruvar ki aagya sir dhar
Sehaj bhav se shiv dhanu toda Janak suta sang nata joda
Raghuvar jaisa aur na koyi Sita ki shamta nahi hoi Dau kare parajit Kanti koti rati kaam ki
Hum katha sunate ram sakal gun dhaam ki Ye ramayan hai punya katha siya ram ki
Sab par shabd mohini daali Mantramugdha bhaye sab nar naari Yon din rain jaat hain beete Lav kush ne sab ke mann jeete
Van gaman sita haran Hanumat milan lanka dehan Ravan maran ayodhya punaragaman
Sab vistar sab katha sunayi Raja ram bhaye raghurai Ram raaj aayo sukh daayi Sukh samriddhi shri gharghar aayi
Kaal chakra ne ghatna kram mein Aisa chakra chalaya Ram siya ke jeevan mein Phir ghor andhera chhaya
Avadh mein aisa aisa ek din aaya Nishkalank sita pe praja ne Mithya dosh lagaya Avadh mein aisa aisa ek din aaya
Chaldi siya jab tod kar Sab neh naate moh ke Pashan hridayon mein na Angare jage vidroh ke
Mamta mayi maayon ke aanchal Bhi simat kar reh gaye Gurudev gyan aur neeti ke Sagar bhi ghat kar reh gaye
Na raghukul na raghukul nayak Koyi na huya siya ka sahayak Manavta ko kho baithe jab Sabhya nagar ke vaasi
Tab sita ko huya sahayak Van ka ek sanyasi
Un rishi param udaar ka Valmiki shubh naam Sita ko aashray diya Le aaye nij dham
Raghukul mein kuldeep jalaye Ram ke do sut siya ne jaaye
Shrota gan jo ek raja ki putri hai Ek raja ki putravadhu hai Aur ek chakravarti raja ki patni hai
Wahi maharani sita vanvas ke dukhon mein Apne din kaise kaat’ti hai Apne kul ke gaurav aur Swabhiman ki raksha karte hue
Kisi se sahayta mange bina Kaise apna kam wo swayam karti hai Swayam van se lakdi kaat’ti hai Swayam apna dhaan kut-ti hai Swayam apni chakki pisti hai
Aur apni santan ko Swavalambi ban’ne ki shiksha Kaise deti hai Ab uske karun jhanki dekhiye
Janak dulari kulavadhu Dasharath ji ki raj rani hoke Din van mein bitati hain
Rehti thi gheri jise daas daasi aathon oar Daasi bani apni udaasi ko chhupati hai Dharam praveena sati param kulina sab Vidhi dosh hina jeena dukh mein sikhati hai
Jagmata hari priya lakshmi swarupa siya Kut-ti te hai dhan bhoj swayam banati hai
Kathin kulhadi leke lakdiyan kaat’ti hai Karam likhe ko par kaat nahi paati hai Phool bhi uthana bhari jis sukumari ko tha Dukh bhari jeevan ka bojh wo uthati hai
Ardhangini raghuveer ki Wo dhar dheer bharti hai neer Neer jal mein nehlati hai
Vish’ke praja ke apvadon Kuchakra mein wo pisti hai chaaki Swabhiman ko bachati hai
Paalti hai bacchon ko wo Karmayogini ke bhanti Swabhimani swavalambi Safal banati hai
Aisi sita mata ki Pariksha lete dukh dete Nithur niyati ko Daya bhi nahi aati hai
Ho us dukhiya ke raaj dulaare Hum hi sut shri ram tihaare Ho sita maa ki aankh ki taare Lav kush hai pitu naam humare
Hey pitu bhagya humare jaage Ram katha kahi ram ke aage
Song Credits
Song: Hum Katha Sunate
Album: Uttar Ramayan
Artist: Hemlata, Kavita Krishnamurthy, Ravindra Jain
Actor: Arun Govil, Deepika Chikhalia, Mayuresh Kshetramade, Sunil Lahri, Swwapnil Joshi
Lyricist: Ravindra Jain
Musician: Ravindra Jain
