Hum Katha Sunate Lyrics – Uttar Ramayan
Hum Katha Sunate Song Lyrics
Om Shree Maha Ganadhi Patey Namaah
Om Shree Umamaheshawara Bhya Namaah
Vaalmiki Gurudeva Ne
Kar Pankaj Teer Naam
Sumire Maat Saraswati
Hum Par Ho Khud Sawaar
Maat Peeta Ki Vandanaa
Kartey Baaram Baar
Gurujan Raja Praja
Jan Naman Karo Swikaar
Hum Katha Sunate Ram Sakal Gundham Ki
Hum Katha Sunate Ram Sakal Gundham Ki
Yeh Ramayan Hain Punya Katha Shree Ram Ki
Jambu Dwip Bharat Khande
Aryavarte Bharat Varshe Ek Nagari Hai
Vikyaat Ayodhya Naam Ki
Yehi Janm Bhoomi Hai
Param Pujya Shrii Ram Ki
Hum Katha Sunate Ram Sakal Gundham Ki
Yeh Ramayan Hai Punya Katha Shree Ram Ki
Yeh Ramayan Hai Punya Katha Shree Ram Ki
Raghukul Ke Raja Dharmatma
Chakravarti Dashrath Punyatma
Santati Hetu Yagya Karvaya
Dharm Yagya Ka Shubh Phal Paaya
Nrip Ghar Janme Char Kumaraa
Raghukul Deep Jagat Adhaara
Charon Bhratonke Shubh Naama
Bharat Shatryghna Lakshman Rama
Guru Vashishtha Ke Gurukul Jaake
Alpa Kaal Vidya Sab Paake
Puran Huyi Shiksha
Raghuwar Puran Kaam Ki
Hum Katha Sunate Ram Sakal Gundham Ki
Yeh Ramayan Hai Punya Katha Shree Ram Ki
Yeh Ramayan Hai Punya Katha Shree Ram Ki
Mruduswar Komal Bhawana
Rochak Prastuti Dhang
Ek Ek Kar Varnan Kare
Lav-Kush Ram Prasang
Vishwamitr Mahamuni Rayi
Inke Sang Chale Do Bhai
Kaise Ram Tadka
Kaise Naath Ahilya Taari
Muniwar Vishwamitra Tab
Sang Le Lakshman-Ram
Siya Swayamwar Dekhne
Pahunche Mithila Dham
Janakpur Utsav Hain Bhaari
Janakpur Utsav Hain Bhaari
Apne Var Ka Chayan Karegi
Sita Sukumari
Janakpur Utsav Hain Bhaari
Janak Raj Ka Kathin Pran
Suno Suno Sab Koyi
Jo Tode Shiv Dhanush Ko
So Sita Pati Hoye
Jo Tore Shiv Dhanush Kathor
Sab Ki Drishti Ram Ki Oar
Ram Vinay Gunke Avtaar
Guruvar Ki Aagya Siroddhar
Sehej Bhaav Se Shiv Dhanu Toda
Janak Suta Sang Naata Joda
Raghuvar Jaisa Aur Na Koi
Sita Ki Samata Nahin Hoyi
Jo Kare Parajit Kaanti Koti Rati Kaam Ki
Hum Katha Sunate Ram Sakal Gundham Ki
Yeh Ramayan Hai Punya Katha Siya Ram Ki
Sab Par Shabd Mohini Daali
Mantramugdha Bhaaye Sab Nar Naari
Yun Din Rain Jaat Hain Beete
Lav-Kush Ne Sab Ke Mann Jeete
Van Gaman Sita Haran Hanumat Milan
Lanka Dehen Ravan Maran
Ayodhya Punaagaman
Sab Vistar Katha Sunaayi
Raja Ram Bhaye Raghuraai
Ram Raj Aayo Sukh Daayi
Sukh Samriddhi Shree Gharghar Aayi
Kaal Chakra Ne Ghatna Kram Mein
Aisa Chakra Chalaya
Ram Siya Ke Jeevan Mein
Phir Ghor Andhera Chhaaya…
Avadh Mein Aisa Aisaa Ek Din Aaya
Nishkalank Sita Pe Prajaa Ne
Mithya Dosh Lagaya
Avadh Mein Aisaa Aisa Ek Din Aaya
Chadi Siya Jab Todke
Sab Sneh Naatae Moh Ke
Pashan Hridayon Mein Na
Angaare Jage Vidhroha Ke
Mamta Mayi Maaon Ke
Aanchal Bhi Simat Kar Reh Gaye
Gurudev Gyan Aur Neeti Ke
Sagar Bhi Ghat Kar Rehgaye
Na Raghukul Na Raghukul Nayak
Koi Na Hua Siya Ka Sahayak
Maanavta Ko Kho Baithe Jab
Sabhya Nagar Ke Vaasi
Tab Sita Ko Hua Sahayak
Van Ka Ek Sanyaasi
Unn Rishi Param Udaar Ka
Valmiki Shubh Naam
Sita Ko Aashray Diya
Le Aaye Nij Dham
Raghukul Mein Kuldeep Jalaye
Ram Ke Do Sut Siya Ne Jaaye
Shrota Gan Jo Ek Raja Ki Putri Hain
Ek Raja Ki Putrvadhu Hain
Aur Ek Chakravati Samrat Ki Patni Hain
Wohi Maharani Sita
Vanvaas Ke Dukho Mein
Apne Dino Kaise Kaat Ti Hain
Apne Kul Ke Gaurav Aur
Swabhimaan Ki Raksha Kartey Huye
Kisi Se Sahayta Maange Bina
Kaise Apna Kaam Woh Swayam Karti Hain
Swayam Van Se Lakdi Kaant Ti Hain
Swayam Apna Dhaan Kootti Hain
Swayam Apni Chakki Peesti Hain
Aur Apni Santaanon Ko Swavalambi Banane
Ki Shiksha Kaise Deti Hain
Ab Uski Karun Jhaani Dekhiye
Janak Dulari Kulavadhu
Dasharath Ji Ki Raj Rani Ho
Ke Din Van Mein Bitati Hain
Rehti Thi Gheri Jise
Das Dasi Aatho Yam
Daasi Bani Apni
Udaasi Ko Chupati Hain
Dharam Praveena
Sati Param Kulina Sab
Vidhi Dosh Hina
Jina Dukh Mein Sikhati Hain
Jagmata Hari Priya Lakshmi Swarupa Siya
Koonti Te Hain Dhaan Bhoj Swayam Banati Hai
Kathin Kulhadi Leke Lakdiya Kaant Ti Hain
Karam Likhe Ko Par Kaant Nahi Paati Hain
Phool Bhi Uthana Bhaari Jis Sukumari Ko Tha
Dukh Bhari Jeevan Woh Uthathi Hain
Ardhangi Raghuveer Ki Woh Dhare Dheer
Bharti Hai Neer Neer Jal Mein Nehlati Hain
Jiske Prajake Apvaadon
Kuchakra Mein Peesti Hai Chaaki
Swabhiman Bachati Hai
Paalti Hain Bachchonko
Woh Karmayogini Ke Bhaati
Swavalambi Safal Banati Hai
Aisi Sita Mata Ki Pariksha Leti
Nithur Niyati Ko Daya Bhi Nahi Aati Hai
O Uss Dukhiya Ke Raj Dulaare
Hum Hi Sut Shree Ram Tihaare
O Sita Maa Ki Aankh Ki Taare Ae
Lav-Kush Hain Pitu Naam Hamare
He Pitu Bhagya Hamare Jaage
Ram Katha Kahe Ram Ke Aage
Hum Katha Sunate Song Info:
Song: | Hum Katha Sunate |
Album: | Uttar Ramayan |
Singer(s): | Kavita Krishnamurthy, Hemlata, Ravindra Jain |
Musician(s): | Ravindra Jain |
Lyricist(s): | |
Cast: | Arun Govil, Deepika Chikhalia, Sunil Lahri, Mayuresh Kshetramade, Swwapnil Joshi |