Jaa Rahe Ho Lyrics – Yasser Desai | Akanksha Puri
Jaa Rahe Ho Lyrics
Suno gila berukhi ka karenge Tumse fursat mein kabhi Par arzi ye bhi hai khuda se Ke kabhi waqt na mile
Do mod hai raasto ke yahan se Sochlo tumko jana hai kahan Ek oar main hu ek taraf khwab tere Tum suna do jo bhi hai faisla
Jaa rahe ho dur lekin Yaad tum rakhna Khwab tak mein bhi tumhara Naam na lunga
Aaj tak thi zindagi Tere liye meri Kal agar mangoge To ek sham na dunga
Ja rahe ho dur lekin Yaad tum rakhna Khwab tak mein bhi tumhara Naam na lunga
Deke mujhko dard kaise muskurate ho Itni besharmi kaha se yaar laate ho Jo mohabbat tumne seekhi Hai yahan mujhse Pyaar wo auro pe kaise aajmate ho
Jab talak main khud ko Pehle sa bana na loon Hai mujhe dil ki kasam Aaram na lunga
Jaa rahe ho dur lekin Yaad tum rakhna Khwab tak mein bhi tumhara Naam na lunga
Jaa rahe ho dur lekin Yaad tum rakhna Khwab tak mein bhi tumhara Naam na lunga
Samne hokar ke mere Do jagah ho tum Janta hai dil tumhara Bewafa ho tum
Sach kahun to na kiya hai Jo gunaah maine Umr bhar sehta rahunga Wo saja ho tum
Na dikhauga tumhe main Mera ye chehra Ab kisi ka hath jab tak Tham na lunga
Jaa rahe ho dur lekin Yaad tum rakhna Khwab tak mein bhi tumhara Naam na lunga
Aaj tak thi zindagi Tere liye meri Kal agar mangoge to Ek sham na dunga
Ja rahe ho dur lekin Yaad tum rakhna Khwab tak mein bhi tumhara Naam na lunga Khwab tak mein bhi tumhara Naam na lunga
Sahi dil dukhaya tha anjane mein Mujhe mashoor kar diya zamane mein
Song Credits
Song: Jaa Rahe Ho
Artist: Yasser Desai
Actor: Akanksha Puri, Mohsin Khan
Lyricist: Kunaal Vermaa
Musician: Aditya Dev
Label: Saregama Music
