Kaamil Lyrics – Munawar Faruqui

Kaamil Lyrics: is latest Hindi song sung by Munawar Faruqui with music is given by Shawie while Kaamil song lyrics also written by Munawar while music video also released by Munawar. Get Kaamil Song Information

Kaamil Lyrics

Teri yaad dilaye, Tera chehra dikhaye, Aisi likh doon, Ghazal main koi.
Main soya ek chain ki neend se, Ab uthna nahi hai, Mera sapna badle na koi.
Tu ho sake to aaye kabhi, Aye kabhi aaye abhi aaye, Meri aankhon mein tu thehre to sahi.
To din ban jaye ho samandar, Mann mera uchle magan, Jaise lehre ho koi.
Teri hasrat jo maine ki, Ishq hua hai pehle bhi, Par din dugna behtar lage, Aisa hua pehle kabhi no.
Sohbatt joh pehle thi, I like the way you picture me, Teri hasi zeenat teri, Tasveeron mein no filter please.
Duaa hai tu reh hifazat, Sang mere hamesha hi, Hua hai beete relationship, Mein na khush dono hi.
Meri khamoshi kehti, Kya tu bhi bole isharon mein, Khwahish kalandar ki leti, Panah teri hi aankhon mein.
Haan yaad dilaye, Tera chehra dikhaye, Mera sab kuch lagta tu hi.
Tu ho rahi bechain dilo mein, Meri nazam wahi hai, Mera qaafiya radeef bhi tu hi.
Tu ho sake to aaye, Ban hawayein chuke jaye, Hum yaha hai meri bahon mein, Tu thehre to sahi.
Ye mushkile bhi kya hai, Muskuraye humnawa hai mere saye, Mere mann mein andhere na koi koi.
Ishq kehte jise falsafe mein, Hamein sab pata hai janam, Mera best day hai teri hasraton mein, Tujhe kya pata hai janam.
Rab thak gaya hai, Meri arziyan bhi sunke, Likhe ye aamad.
Tera itrr bhi hai, Kuch keh raha, Mujhe de raha ijazat.
Na silah mangta duniya se, Jo karlu mein tumko haasil, Humnawa yaha hai kaafi, Par tu hi lagta hai kaabil.
Main to kar raha ibadat, Tujhko rakhe hifazat, Tu shamil hai mujhme aisi, Karti tu zindagi kaamil.
Teri yaad dilaye, Tera chehra dikhaye, Aisi likh doon, Ghazal main koi.
Main soya ek chain ki neend se, Ab uthna nahi hai, Mera sapna badle na koi.
Tu ho sake to aaye kabhi, Aye kabhi aaye abhi aaye, Meri aankhon mein tu thehre to sahi.
To din bann jaye ho samandar, Mann mera uchle magan, Jaise lehre ho koi.
Tu karti zid hai, Main din deta hu ginke, Ye dooriya bhi sin hai, Ye intehan hai fir se.
Bismil ye pal hai, Tu hi mera safar hai, Tu kar yaqeen mera, Teri khushi manzil hai.
Haan yaad dilaye, Mera sab kuch lagta tu hi, Mera kaafiya radeef bhi tu hi.
Written by: Munawar Faruqui
If Found Any Mistake in above lyrics?, Report using contact form with correct lyrics!
Kaamil Lyrics - Munawar Faruqui

Kaamil Song Info:

Song: Kaamil
Singer(s): Munawar Faruqui
Musician(s): Shawie
Lyricist(s): Munawar Faruqui
Label(©): Munawar Faruqui
Scroll to Top