Kahani Lyrics (Laal Singh Chaddha) – Mohan Kannan
Kahani Lyrics
Pam para rara rum Ho raha hai jo Ho raha hai kyon Tum na jano na hum Pam para rara rum
Kya pata hum mein hai kahani Ya hain kahani mein hum? Pam para rara rum
Kabhi kabhi jo ye Aadhi lagti hai Aadhi likh de tu Aadhi reh jane de Jane de
Zindagi hai jaise Barishon ka pani Aadhi bhar le tu Aadhi beh jane de Jane de
Hum samandar ka ek qatra hain Ya samandar hain hum? Pam para rara rum
Ye hatheli ki lakiron mein Likhi saari hai Ya zindagi hamare Iradon ki maari hai?
Hai teri meri samajhdari Samajh pane mein Ya isko na samajhna hi Samajhdari hai?
Baithi kaliyon pe titli ke jaisi Kabhi rukne de Kabhi udd jane de Jane de
Zindagi hai jaise Barishon ka pani Aadhi bhar le tu Aadhi beh jane de Jane de
Hai zarurat se thodi zyada Ya hai zarurat se kam? Pam para rara rum
Kya pata hum mein hai kahani Ya hain kahani mein hum? Pam para rara rum
Song Credits
Song: Kahani
Album: Laal Singh Chaddha
Artist: Mohan Kannan
Actor: Aamir Khan, Kareena Kapoor Khan
Lyricist: Amitabh Bhattacharya
Musician: Pritam
Label: T-Series