Kyun Na Aaye Lyrics – Tejasswi Prakash | Pranav Vatsa
Kyun Na Aaye Lyrics
Main dekhu jahan har kahin Pyaar hi pyaar hai Ek tuhi nahi mere paas Aisa kyu yaar hai
Pyaar barasne ka mausam hai ye Aur baahein meri murjhaye jaye
Tu aaye aaye kyun na aaye Kyu aise mujhe tu sataye Tu aaye aaye kyun na aaye
Main jee loon tumhe fir zara Sanson mein aag hai Aakhiri tuhi hai wajah Aur kya khas hai
Khwab sawarne ka mausam hai ye Aur neenden meri door jaye jaye
Tu aaye aaye kyun na aaye Kyu aise mujhe tu sataye Tu aaye aaye kyun na aaye
Kyu aashiqui mein do dil jale hai Aakhon mein kyu aayi hai nami Tanhaiyon mein khone lage hai Yadon mein tu meri har kahin
Tere jane se teri khabar tak Mujhko hai roz jalaye jaye
Tu aaye aaye kyun na aaye Kyu aise mujhe tu sataye Tu aaye aaye kyun na aaye
Jab tak tumhari khushboo Meri sanson mein hai Main zinda hoon
Jab talak mere guzarte huye lamhon mein Tumhari yadein hai batein hai mulakatein hai Tab talak main zinda hoon
Song Credits
Song: Kyun Na Aaye
Artist: Pranav Vatsa
Actor: Tejasswi Prakash
Lyricist: Pranav Vatsa
Musician: Vivian Richard
Label: Zee Music Company