Mujhko Mana Lena Lyrics – Alka Yagnik | Ashok Ojha
Mujhko Mana Lena Lyrics
Aisa na ho janaa Kabhi tumse rahu naraaz Aur agar tum tak Nahi pohoche mere alfaaz
Tum mujhko mana lena Han tum bas mujhko mana lena Tum mujhko mana lena Han tum bas mujhko mana lena
Aisa na ho jaana Kabhi badle mera andaaz Phir hai tumhe ye haq Wahi deke mujhe aawaz
Tum mujhko mana lena Han tum tab mujhko mana lena Tum mujhko mana lena Han tum tab mujhko mana lena
Ye duniya kuchh bhi kahe Sath apna yu chalta rahe Bas itni si khwahish hai Ishq mera tum mein behta rahe
Iske siwa kuchh nahi Ho chaahe aasman ya zameen
Aisa na ho jaana Kabhi shaam dhale tum bin Aur jo subah ho toh Lage rutha hua sa din
Tum mujhme raha karna Han tum bas mujhme raha karna Tum mujhme raha karna Han tum bas mujhme raha karna
Ye lamhe kehne lage Yu hi hum tum ab milte rahe Man ka aisa mausam ho Ek duje me jeete rahe
Tera mera kuchh nahi Ho chahe darmiyan ya kahi
Aisa na ho jaana Kabhi chhod ke jaunga Aur jo kahu tumse ye Nahi lautke aaunga
Tum mujhko sata dena Han tum bas mujhko sata dena Tum mujhko sata dena Han tum bas mujhko sata dena
Tum mujhko mana lena Han tum bas mujhko mana lena Tum mujhko mana lena Han tum bas mujhko mana lena
Song Credits
Song: Mujhko Mana Lena
Artist: Alka Yagnik, Ashok Ojha
Actor: Khushi Chaudhary, Zain Imam
Lyricist: Tripurari
Musician: Sugat Dhanvijay
Label: Saregama Music