Pehle Pyaar Ka Pehla Gham Lyrics – Tulsi Kumar, Jubin Nautiyal
Pehle Pyaar Ka Pehla Gham Lyrics
Bin bole yun tera jana Shayad na seh paaye hum Itni saare saansein hai par Ik bhi na le paaye hum
Aa bhi ja na aaye toh Sach much hi na mar jaye hum Pehle pyaar ka pehla gham Pehli baar hai aankhe nam
Pehle pyaar ka pehla gham Pehli baar hai aankhe nam Pehla hai tanhaai ka ye mausam Arey aa bhi jao warna ro denge hum
Mera tan man saara tere rang mein rangaya Meri rooh mein tera ishq base Maine sudh budh khoi sara chain gawaya Tu jo sath nahi dhadkan na chale
Aa bhi jao warna ro denge hum Pehle pyar ka pehla gham
Saj dhaj ke teri main raah takoon Saj dhaj ke teri main raah takoon Tarikh bata kab aaoge Baat dino ki ya barson ki Kitna wakt lagayoge Aa bhi jao warna ro denge hum
Maana ke doori si hai Thodi majboori bhi hai Lekin ek din badlenge ye mausam Haan tumko jyada rone na denge hum
Meri nind me khwaab me sab mein tu Main teri hoon aur mujh mein tu Hai yakeen khud se jyada tujhpe Bas itni araz se tod na tu
Aa bhi jao warna ro denge hum Pehle pyaar ka pehla gham
Song Credits
Song: Pehle Pyaar Ka Pehla Gham
Artist: Jubin Nautiyal, Tulsi Kumar
Actor: Khushali Kumar, Parth Samthaan
Lyricist: Rashmi Virag
Musician: Manan Bhardwaj
Label: T-Series
