Shiv Sama Rahe Lyrics – Hansraj Raghuwanshi
Shiv Sama Rahe Lyrics
Om namah shivay Om namah shivay
Shiv sama rahe mujhme Aur main shunya ho raha hoon Shiv sama rahe mujhme Aur main shunya ho raha hoon
Krodh ko, lobh ko Krodh ko, lobh ko Main bhasma kar raha hoon
Shiv sama rahe mujhme Aur main shunya ho raha hoon Om namah shivay
Shiv sama rahe mujhme Aur main shunya ho raha hoon Om namah shivay
(Shiv mantrouchcharan)
Teri banai duniya mein Koi tujh sa mila nahi Main toh bhatka darbadar Koi kinara mila nahi
Jitna paas tujhko ko paya Utna khud se door ja raha hoon
Shiv sama rahe mujhme Aur main shunya ho raha hoon Om namah shivay
Shiv sama rahe mujhme Aur main shunya ho raha hoon Om namah shivay
Maine khud ko khud hi bandha Apni khinchi lakeeron mein Main lipat chuka tha Ichha ki zanjeero mein
Anant ki gahraiyon mein Samay se door ho raha hoon Shiv pranon mein utar rahe Aur main mukt ho raha hoon
Shiv sama rahe mujhme Aur main shunya ho raha hoon
Wo subah ki pahli kiran mein Wo kastoori ban ke hiran mein Megho me garje, gunje gagan mein Ramta jogi, ramta gagan mein
Wo hi vayu mein, wo hi aayu mein Wo jism mein, wo hi rooh mein Wo hi chhaya mein, wo hi dhoop mein Wo hi hain har ek roop mein O bhole o
Krodh ko, lobh ko Krodh ko, lobh ko Main bhasma kar raha hoon
Shiv sama rahe mujhme Aur main shunya ho raha hoon Om namah shivay
Shiv sama rahe mujhme Aur main shunya ho raha hoon Om namah shivay
Song Credits
Song: Shiv Sama Rahe
Artist: Hansraj Raghuwanshi
Lyricist: Suman Thakur
Musician: Ricky T GiftRulers
Label: Hansraj Raghuwanshi
