Tu Hai Kahan Lyrics – Zayn | Aur
Tu Hai Kahan Lyrics
Ki jab main had se Aage badh gaya tha Aashiqui mein
Yaani zindagi ko le raha Mazak hi mein Fir mazak hi mein mil gaya Sab khak hi mein
Chhu kar aaya manzilein to Tanha tha main wapsi mein
Jaise phool tode honge Tumne jholi bhar ke Main wo phool jo ke Reh gaya tha shakh hi mein
Jaise khwab hi main Khwabgah ankh hi mein Pal se pal mein kya hua tum Reh gaye bas yaad hi mein
Ek sawal machalta hai Mere dil mein kabhi Tujhe main bhool jaun ya Tujhe main yaad karun
Tujhi ko soch ke likhta hu Jo bhi likhta hu Ab likh raha hu to Fir kyu na ek sawal karun
Main is sawal se Gam ko badal du khushiyon mein Par in bejaan si khushiyon se Kya kamal karun
Par ab sawal bhi kamal Tu sambhal le filhal Ye sawal bicha jaal kya Main chaal chalu
Chaal chal tu apni Main tujhe pehchan luga Main apni mehfilon mein Sirf tera hi naam luga
Tujhe pasand hai dheema lehja Aur bas khamoshiyan Main tere khatir apni Khud ki sansein tham luga
Kya tere saare aansu Mere ho sakte hain Aisa hai to tere khatir Hum bhi ro sakte hain
Mere khatir mere rone Par ab tum bas hans dena Ek bar tere muskurahat ke peeche Hum sab kuch kho skate hain
Kya meri mohabbaton ka Koi hisab nahi hai Kyu tere aankhon mein mere liye Koi khwab nahi hai
Tujhe kya hi karun Ghamzada ab jane de Ke tere paas mere pyaar ka Jawab nahi hai
Kitni muddatein hui hai Tumne khat kyu nahi bheja Gaa leta hun tere liye Mausiqi nahi hai pesha
Aane ki khabar hi nahi tere ab Ab kya mausamon se puchun Tere aane la andesha
Aankhon mein aansu nahi hai Kahan hai tu kahan tu nahi hai Dil ko ye ab jaan-na hi nahi Bas tu chale aao
Tu hai kahan Khwabon ke is shehar mein Mera dil tujhe dhundta Dhundta
Arsa hua tujhko dekha nahi Tu na jane kahan chhup gaya Chhup gaya
Aao fir se hum chale Tham lo ye hath Kardo kam ye faasle Na pata ho manzilon ka Na ho raste
Tu ho main hu baithe Dono fir hum taaron ke tale
Na subah ho fir na hi din dhale Kuch na keh sake kuch na sun sake Baatein sari woh dil mein hi rahe Tum ko kya pata hai kya ho tum mere liye
Kehkashan ho tum Kahaniyon ki pariyon ki tarah ho tum Mujhme aa sake na koi is tarah ho tum Ho yaqeen tum mera ya fir gumaan ho tum
Aashiyan ho tum Main bhatka sa musafir Aur makaan ho tum
Meri manzilon ka Ek hi rasta ho tum Dhundta hai dil tujhe Bata kahan ho tum hmm
Ho jahan kahin bhi Aao paas taaki Aansu mere tham sake Yaad aa rahe ho tum Mujhe ab har lamhe
Aisi zindagi ka kya Jo tum zindagi mein hoke Meri zindagi na ban sake
Sochta rahu ya bhul jaun ab tumhen Tum mil hi na sakogi to Fir kaise chahu ab tumhen
Tere saare khwab Pal mein jod denge Jisme tu hi na basega Fir wo dil hi tod denge
Chod denge wo shahar Ke jisme tum na hoge Toot jayenge makaan Wo sare hasraton ke
Gujre pal jo sath tere Wo pal hai bas sukoon ke Mil lo ab tum is tarah Ke fir nahi miloge
Tu hi tha sath mein mere Kaise main jeeyuga akele Taare gin gin ke ho gayi Hai subah
Tu hai kahan Khwabon ke is shehar mein Mera dil tujhe dhundta Dhuundta
Arsa hua tujhko dekha nahi Tu na jane kahan chup gaya Chup gaya
Song Credits
Song: Tu Hai Kahan (Feat. Zayn)
Artist: Ahad Khan, Usama Ali, Zayn Malik
Lyricist: Ahad Khan, Usama Ali
Musician: Raffey Anwar
Label: AUR