Tu Mera Ho Gaya Hai Lyrics – Javed Ali
Tu Mera Ho Gaya Hai Lyrics
Ho tu mera ho gaya hai Aaye na yakeen ye Tu mera ho gaya hai Khwaab to nahi ye Tu mera ho gaya hai ya ke nahi
Tu mera ho gaya to Jannat zameen pe Tu mera ho gaya hai Khwaab to nahi ye Tu mera ho gaya hai ya ke nahi
Agar ye khwaab hai to Main tera hi khwaab rahunga Nahi ab chain ki chahat Yun hi betaab rahunga
Agar ye khwaab hai to Main tera hi khwaab rahunga Nahi ab chain ki chahat Yun hi betaab rahunga
Tu mera ho gaya hai Baat hai haseen ye Tu mera hogaya hai Khwaab to nahi ye Tu mera ho gaya hai ya ke nahi
Pehle se jyada sheesha main dekhun Pehle se jyada hasta rahun Main jab akela hota hu tab bhi Tum se hi baatein karta rahun
Pehle se jyada sheesha main dekhun Pehle se jyada hasta rahun Main jab akela hota hu tab bhi Tum se hi baatein karta rahun
Agar paagalpana hai ye To paagal aaj rahunga Teri hasti nigahon ka Main banke raaz rahunga
Agar paagalpana hai ye To paagal aaj rahunga Teri hasti nigahon ka Main banke raaj rahunga
Jahan tu hai ye dil bhi Aata hai wahi pe Tu mera ho gaya hai Khwaab to nahi ye Tu mera ho gaya hai ya ke nahi
Ho jeena hai mujhko tere liye hi Ye faisla hai maine kiya Tere hi khatir marna bhi chahun Marna hai lekin bas shaukiya
Agar jadoo hai ye tera Utarne na isey dena Mujhe kaabu mein kar le tu Sambhalne na mujhe dena
Agar jadoo hai ye tera Utarne na isey dena Mujhe kaabu mein kar le tu Sambhalne na mujhe dena
Hua bhi hai ye sach mein Ya hua nahi ye Tu mera ho gaya hai Khwaab to nahi ye Tu mera ho gaya hai Ya ke nahi
