Tu Phir Se Aana Lyrics – Raftaar
Tu Phir Se Aana Lyrics
Tu phir se aana
Bhar mastako pe le chale Jo pustako se door Panape jis zameen pe Uss zameen pe maa bhi mazdoor Mann se nasht tan pe kasht Raat khane mein hai choor sang lu Ye gareebi ka kasoor Aur jo noor na banenge Bache kood mein milenge
Nasoor se pale jo Kaise soorme banenge Kuch wo phool jo khilenge Kuch ko school na milenge Kuch ke paav do chilenge Chup wo dhool me milenge Jiske paet mein anaaj na Woh kis dharam ka hai bhala Ik bharam mein jeeta wo ki Kab garam ho ek tawa
Kis karam ki maar hai Ahaar inka bas hawa Na milti maa ko ek dava Pita sava me gumshuda Ik dafa socho desh band tha Wo chal padi 8 meel pehle ghar se Gir ke dhar pe mar padi
Jeeta naan balika ko Jeeti na jo ek kadi Woh aafan hai ya jal chuki Ye sochta me har ghadi
Tu phir se aana muskaan banke Mere ghar mein chota mahmaan banke Tu phir se aana muskaan banke Aur has ke jeena meri jaan banke Banke
Pet mein aag lagi hai Par paani bhi toh paas nahi Chote hain kadam kaafi Jawani bhi to paas nahi Wo thak chuke itna Patri pe hi so jayein Par sulane wali Maa ki kahani bhi toh paas nahi Jo ghar pe hain vo khush hain Jo road pe vo puchein Ke ghar ki chat milegi kab? Kahan pe jaake lu chain? Jab maa chhodne aayi thi To ek din mein pahuche the Ab wapas jaane mein Mujhko lagre hain din kyu 6?
Ab sab dhundhla lagra Nahi bachi hai taakat Ab so hi jata hu Agle janam mein lunga daawat Bas maa ko batla dena Ki thoda door hi tha main Hawa mein khushbu lele Milne tak lele raahat Aur jo kehte hain ke marne par hum Ek lakh denge Maano 16 maut aayi Aur ho gaye 16 lakh Upar shikaayat karunga Ab wo hisaab lenge Jo ghar tak chhod dete To bach jaati 16 laash
Tu phir se aana
Song Credits
Song: Tu Phir Se Aana
Artist: Karma, Raftaar, Salim Merchant
Lyricist: Karma, Raftaar
Musician: Raftaar
