Umeed Lyrics – Tanzeel Khan
Umeed Lyrics
Yeah! Bahot dino bad aaj khula aasmaan hai Khali ye janeen aur bada taapmaan hai Dharti ye shaant hai, ant ka paigam hai Bimari ko bhi majhab de raha insaan hai
Awaaz kaun uthae beimaan toh awaam hai Ab tere hi haatho mein desh ki ye jaan hai Jo wafadaar unpe hi ilzaam hai Vardi safed khakhi ko mera salaam hai
Ab ye na puchna kis galti saza mili Haa paison se bhi keemti bani hai inki zindagi Khusnaseeb khud ko samjho kya halat gareeb ki Insaniyat ko chhodo murdo ke liye jagah nahi
Ho kaisa ye manzar hai Kyun lag rha mujhko darr hai Is marz ka kya hall hai Sirf rabb ko ye khabar hai
Kal bhi suraj niklega Roshan hoga ye jahan Umeed hi kar sakte Ab yahan bas yahan
Itna kyun hai hum tanha Beetega bhi ye lamha Kar sakte hai sirf ab hum dua Hum dua!
Haan maut nahi dekhti kya tera hai mazhab Sabar rakhle thoda aur sikhle tu sabak Ghar mein hi baith agar asli tu marad Khuda se dua kar haan gunahgaar bankar
Tumhara bhi hai parivaar thoda zimedaar bano Bhul ke bhedbhav khud se sawaal karo Yahi waqt hai sab ek sath lado Ek sath lado bhale ek sath maro Yahi waqt hai sab ek sath lado Ek sath lado bhale ek sath maro
Haan itna muskil nahi hai!
Huh kaisa ye manzar hai Kyu lagra mujko darr hai Iss marz ka kya hall hai Sirf rab ko hi khabar hai
Kal bhi suraj niklega Roshan hoga ye jahan Umeed hi kar sakte Ab yahan bas yahan
Itna kyun hai hum tanha Beetega bhi ye lamha Kar sakte hai sirf ab hum dua Hum dua!
Huh agar mushkil lag raha hai ye abhi Socha hai kashmir ne kaate kaise din kabhi Azadi kya? Unke paas na tha internet bhi
Aur kitna muskil raha hoga Un auraton ke liye sabhi Jo gaav mein bachpan se lockdown mein rahi
Socha hai?, nahi! Toh sochon un jawano ke baare mein Jo rahe parivaar se door kabhi garm Toh kabhi sard mein
Unke baare mein jo rahe Gareebi me submerged hai Par soch ke kya karoge? Na samajh paoge kabhi dard hai
Par iss baar Ghar par hi baith agar tu Asli mard hai
Song Credits
Song: Umeed
Artist: Tanzeel Khan
Lyricist: Tanzeel Khan
Musician: Akarsh Shetty
Label: Tanzeel Khan
