Now readingAleemrk

Midnight

Midnight

Midnight

Bechaini sar mera khati hai rozSukoon dhoonda nahi mila kho diye hoshAaj mere naam pe uchal loge keecharKal ko uchalne se daroge dost
Kal ko batane se daroge sabko keMere is bande se taluq kharabKal ko bulandiya chhu lunga itniKuch bolne se pehle bhi sochenge aap
Kitna bolu ke main jee nahi pa rahaTu khayal rakh thoda haal puch liya karKitna sochu tere bare ab main aurMeri bas hogayi jaan mera toot raha hai sabar
Meri zindagi mein log to hai kaafiPar wo log nahi hai wo jin pe i would relyMeri zindagi mein dost to hai kaafiPar wo dost hi nahi hai jisko sab kuch bataye
Kabhi kisi ne bhi nahi pucha mera haalKara ek hi sawal ke bas gaana kab aa raha haiAleem jee raha hai ya mar raha haiKya fark parta hai yaarKoi jaan’na hee nahi chah raha hai
Ek arse se khamosh hu bolne ka mann haiPar sunne wale rehte door mujhseKal ko koi maar de anjane mein khud ko toChaukna mat hum hi majboor karte
Ajeeb si soch mein dooba ja rahaKya karu samjh nahi aata na
Samjh nahi aata koi aa ke samjha deItne pyaar ke bawajood bhi wo aa ke kyun na deEk arse se mila rahe sab haan mein han meriMujhe chahiye koi aa ke meri galtiya gina de
Yaar manta hu tumhari meri suna to karoItna bura bhi nahi hu itna bura na karoMere aas paas koi bacha nahi baat karne layakTum sab aas paas waalo se mil ke sulah to karo
I’m just sad these daysKoi milne na ae mujhse dil na lagaeWhy you act these daysMere samne tum bol sakti ho jo mann mein ae
I swear main nahi judge karta khud aisa huMain bhi tanha teri tarah khud mein khush baitha huMain tha school ke dino mein had se jyada badtameezFir koi dil na dukha du is liye chup rehta hu
Dil hai dukhaye bare dil hai dukhayeMaafi mili hai ke nahi mujhe pata bhi nahiApne neeche waalo se mein tabhi jaan kar milta huKhushiyan baatne ki dhoondta koi waja bhi nahi
Jitna behtar kar lu khud ko saale koste rahengeKuch nahi hoga tujhse rok rok ke tokte rahengeAbe duniya ka sab se acha kaam bhi kar legaUs ke baad bhi ye bura bhala bolte rahenge
Jitna behtar kar loon khud ko tab bhi hate to milega hiNamumkin hai karna yaha sab ko satisfyInsaan dhokhebaaz kabhi idhar kabhi udharIs se behtar hai ke karu apne rab ko satisfy
Gir ke sajde mein meinJaagu apno ke liye un ke sapno ke liyeJyada kehta nahi mainWo janta hai khoob main is duniya se tang
Bechaini sar mera khaati hai rozSukoon dhoonda nahi mila kho diye hoshAaj mere naam pe uchal loge keecharKal ko uchalne se daroge dost
Kal ko batane se daroge sabko keMere is bande se taluq kharabKal ko bulandiya chhu lunga itniKuch bolne se pehle bhi sochenge aap
Found a mistake in these lyrics? Please send us the correct lyrics through the contact form.

Watch now

Midnight Music Video

Behind the song

Credits, facts & answers

A quick guide built from the verified credits attached to this song.

FAQ

Good to know

Who sings Midnight?

Midnight is performed by Aleemrk.

Who wrote the lyrics for Midnight?

The lyrics for Midnight were written by Aleemrk.

Who composed the music for Midnight?

The music for Midnight was composed by Jokhay.

Which music label released Midnight?

Midnight is associated with Aleemrk.