Afreen Afreen Lyrics – Rahat Fateh Ali Khan
Afreen Afreen Lyrics
Aisa dekha nahi khoobsurat koi Jism jaise ajanta ki murat koi Jism jaise nigahon pe jadoo koi Jism nagma koi jism khushboo koi
Jism jaise mehakti hui chandni Jism jaise machalti hui ragini Jism jaise ke khilta hua ik chaman Jism jaise ke suraj ki pehli kiran Jism tarsha hua dilkasho dilnashin Sandli sandli marmari marmari
Husn-E-Jana ki tareef mumkin nahi Husn-E-Jana ki tareef mumkin nahi Afreen afreen afreen afreen Tu bhi dekhe agar toh kahe humnashin Afreen afreen afreen afreen Husn-E-Jana ki tareef mumkin nahi Husn-E-Jana ki tareef mumkin nahi
Jane kaisi bandhi tune ankhiyon ke dor Man mera khicha chala aaya teri aur Mere chehre ki subah zulfon ki shaam Mera sab kuch hai piya ab se tere naam
Nazron ne teri chua Toh hai ye jadoo hua Hone lagi hu main haseen
Afreen afreen afreen Afreen afreen afreen Afreen afreen afreen Afreen afreen afreen
Chehra ik phool ki tarah shadaab hai Chehra uska hai ya koi mahtaab hai Chehra jaise ghazal chehra jane ghazal Chehra jaise kali chehra jaise kamal
Chehra jaise tasavur bhi tasveer bhi Chehra ik khwab bhi chehra tabeer bhi Chehra koi alif lail vi dastaan Chehra ik pal yakeen chehra ik pal gumah Chehra jaisa ke chehra kahin bhi nahi
Mahrooh mahrooh mehjabin mehjabin Husn-E-Jana ki tareef mumkin nahi Husn-E-Jana ki tareef mumkin nahi Afreen afreen afreen afreen
Tu bhi dekhe agar toh kahe humnashin Afreen afreen afreen afreen Usne jana ki tareef mumkin nahi Afreen afreen
Song Credits
Song: Afreen Afreen
Album: Coke Studio Season 9
Artist: Momina Mustehsan, Rahat Fateh Ali Khan
Actor: Momina Mustehsan, Rahat Fateh Ali Khan
Lyricist: Rahat Fateh Ali Khan
Musician: Faakhir Mehmood
Label: Coke Studio
