Ab Aaja Lyrics – Gajendra Verma | Jonita Gandhi
Ab Aaja - Gajendra Verma ft. Jonita Gandhi
Rukhe rukhe hai, mausam ke lab bin tere Sukhe pedon se ho gaye mere shaam savere Ik ranj hai raah guzaro mein Ik aag lagi gulzaron mein Har saans ghuli angaaron mein Sun bhi le meri sada Ab aaja sanam phirun main bekarar Ab aaja sanam karun tera intazaar
Ab hai adhuri tere bina ratein ye saari meri Ab hai adhure tere bin khwab ye saare mere Tere bin na guzarne pe waqt tula hai Tere bin jaise dard hawa mein ghula hai Jaise chot hari hai jaise zakham khula hai Mera jeena hua saza Ab aaja sanam phirun main bekarar Ab aaja sanam karun tera intazaar
Bin tere khali khali Taaron bhara ho ke bhi aasama Sune raste saare suna suna sa hai Saara jahan
Tere bin tere bin ha tere bin Berukhi se katate hai mere din Tere bin jaise jalti hai chand si ratein Tere bin jaise khalti hai honthon ko baatein Jaise kore waraq Jaise khali dawate Jaise sab kuch hai bewajah Ab aaja sanam phirun main bekarar Ab aaja sanam karun tera intazaar
        Song Credits
Song: Ab Aaja
Artist: Gajendra Verma, Jonita Gandhi
Lyricist: Aseem Ahmed Abbasee
Musician: Gajendra Verma
