Fursat Hai Aaj Bhi Lyrics – Arjun Kanungo
Fursat Hai Aaj Bhi - Arjun Kanungo
Bhoolna kya, bhulaana kya Roothna kya, manaana kya Dil ko behlaane ka Aur bas hai bahaana kya
Zindagi ka thikaana kya Dil kabhi tha sayaana kya Rooh mein tu hai mehfooz Phir tera jaana kya
Tujhe khoya nahin tha kabhi Tu hai yahin kahin aaj bhi
Fursat ka jo har lamhaa hai Mujhse bas ye kehta hai Aadat teri baaton ki aaj bhi
Teri ankhon ne jo dekhe they Meri ankhon mein wo sapne hain Sarhad nahin khwaabon ki aaj bhi Tu hai aaj bhi
Bin bulaaye ye aana kya Aa gaye toh hai jaana kya Teri yaadon se behtar hai Dil ka thikaana kya
Tere mere woh pal meethey Kum lagey saath jo beetey Par tu hai door ye meri Ankhon ne maana kya
Tujhe bhoola nahin tha kabhi Tu hai mere kareeb aaj bhi
Fursat ka jo har lamha hai Mujhse bas ye kehta hai Aadat teri baaton ki aaj bhi Mmmmm… aaj bhi
Teri ankhon ne jo dekhe they Meri ankhon mein wo sapne hain Sarhad nahin khwaabon ki aaj bhi Tu hai aaj bhi
Song Credits
Song: Fursat Hai Aaj Bhi
Artist: Arjun Kanungo
Lyricist: Mayur Puri
Musician: Arjun Kanungo
Label: VYRLOriginals
