Midnight Lyrics – Aleemrk
Midnight Lyrics
Bechaini sar mera khati hai roz Sukoon dhoonda nahi mila kho diye hosh Aaj mere naam pe uchal loge keechar Kal ko uchalne se daroge dost
Kal ko batane se daroge sabko ke Mere is bande se taluq kharab Kal ko bulandiya chhu lunga itni Kuch bolne se pehle bhi sochenge aap
Kitna bolu ke main jee nahi pa raha Tu khayal rakh thoda haal puch liya kar Kitna sochu tere bare ab main aur Meri bas hogayi jaan mera toot raha hai sabar
Meri zindagi mein log to hai kaafi Par wo log nahi hai wo jin pe i would rely Meri zindagi mein dost to hai kaafi Par wo dost hi nahi hai jisko sab kuch bataye
Kabhi kisi ne bhi nahi pucha mera haal Kara ek hi sawal ke bas gaana kab aa raha hai Aleem jee raha hai ya mar raha hai Kya fark parta hai yaar Koi jaan’na hee nahi chah raha hai
Ek arse se khamosh hu bolne ka mann hai Par sunne wale rehte door mujhse Kal ko koi maar de anjane mein khud ko to Chaukna mat hum hi majboor karte
Ajeeb si soch mein dooba ja raha Kya karu samjh nahi aata na
Samjh nahi aata koi aa ke samjha de Itne pyaar ke bawajood bhi wo aa ke kyun na de Ek arse se mila rahe sab haan mein han meri Mujhe chahiye koi aa ke meri galtiya gina de
Yaar manta hu tumhari meri suna to karo Itna bura bhi nahi hu itna bura na karo Mere aas paas koi bacha nahi baat karne layak Tum sab aas paas waalo se mil ke sulah to karo
I’m just sad these days Koi milne na ae mujhse dil na lagae Why you act these days Mere samne tum bol sakti ho jo mann mein ae
I swear main nahi judge karta khud aisa hu Main bhi tanha teri tarah khud mein khush baitha hu Main tha school ke dino mein had se jyada badtameez Fir koi dil na dukha du is liye chup rehta hu
Dil hai dukhaye bare dil hai dukhaye Maafi mili hai ke nahi mujhe pata bhi nahi Apne neeche waalo se mein tabhi jaan kar milta hu Khushiyan baatne ki dhoondta koi waja bhi nahi
Jitna behtar kar lu khud ko saale koste rahenge Kuch nahi hoga tujhse rok rok ke tokte rahenge Abe duniya ka sab se acha kaam bhi kar lega Us ke baad bhi ye bura bhala bolte rahenge
Jitna behtar kar loon khud ko tab bhi hate to milega hi Namumkin hai karna yaha sab ko satisfy Insaan dhokhebaaz kabhi idhar kabhi udhar Is se behtar hai ke karu apne rab ko satisfy
Gir ke sajde mein mein Jaagu apno ke liye un ke sapno ke liye Jyada kehta nahi main Wo janta hai khoob main is duniya se tang
Bechaini sar mera khaati hai roz Sukoon dhoonda nahi mila kho diye hosh Aaj mere naam pe uchal loge keechar Kal ko uchalne se daroge dost
Kal ko batane se daroge sabko ke Mere is bande se taluq kharab Kal ko bulandiya chhu lunga itni Kuch bolne se pehle bhi sochenge aap