Alag Aasmaan Lyrics – Anuv Jain | Ukulele
Alag Aasmaan Lyrics
Nayi nahi hai yeh baatein wahi Fir is mod par hum mile hain Na jaane ab milenge hum kabhi To ruk jao ek pal yahan pe
Yeh naram chadaron ki silvatein Tujhe abhi bula rahi hai Na jaao door inse kahein yeh sukoon Kahan pe hai hasil dil ko mere
Yeh hai pata ki Milon ka ye faasla hai Alag aasmaan bhi hai Toh kya yeh dil na maane
Ye gaadiyon ki aisi daudh sa Tera bhi dil daudhta hai Haan ja rahe ho door tum toh kya
Main hi toh dil ka musafir Toh ek baar fir tu hanske zara Dekh le meri inn aankhon mein Main kaid kar lu har woh pal Tera teri yeh baatein jo hain!
Toh aur kya hai yeh baatein bata Kyu ab din bhi dhalta nahi Ye na ho to hu-u-u-u
Tum ude ja rahe yeh aasmaan mein Khidkiyon se dekh tu pahadon ko Yun chote se lage Hai kitne bade jo ho samne hey-e-e
Door jo hain khade Unhe bhi ye humari zindagi yun Titliyon si choti choti si lage Hai kitni badi nahi jante ayy
Khali ghar tera Yeh chabiyon ki gunj aise Tujhe dara rahi Tu darna nahi main hu yahi par
Ab alag aasmaan hai Aur hai zameen bhi Kuch alag si Par miloge jab kabhi Toh dekhna tabhi Main kuch alag nahi eee
Song Credits
Song: Alag Aasmaan
Artist: Anuv Jain
Lyricist: Anuv Jain
Musician: Angad Singh Bahra
Label: Anuv Jain