Dil Se Lyrics – Amit Bhadana

Dil Se, The voice in the video is Amit Bhadana, music of this video given by Lovepreet Singh while Dil Se Lyrics is penned down by Amit Bhdana. Get Dil Se Song Information

Dil Se - Amit Bhadana

Piche mudd ke dekhne ki aadat nahi ahai meri, Par kuch baatein hai jo kabhi kabhi past mein le jati hai, Whatsapp par padha tha shayad ki hassi ki keemat, Vahi jaanta haijise dard kaehsaas hota hai, Mujhe dard ka pehla ehsaas bachpan mein hua tha, Ek din pitaji gaye to vapas nahi aaye, Ek khabar ayi jisne meri duniya hi badal di, Musibaton se aadmi ladd leta hai .. par dard, Deemak ki tarha insaan ko ander se khata rehta hai, Fie mujhe ek rasta mila dard ko bhulane ka, Maine dekha ki apne aansu chupane ki achchi jagha, Dosaron ki hansi hai.
Dil apna saaf rakho mehnat karte raho, Deko raste mein kankad bhi aaraha hoga na, Use aap ni hataoge koi aur hatake side rakhdega, Ki bhai aap gir jaoge dekho mein hata diya.
Gali ka jokar, school ka maskhara – amit, Talent pani ki tarha hota hai, Kahin na kahin se beh jane ka raasta khoj hi leta hai, Mujhe toh bas logon ko entertain karna tha, To dubbing karke video banai, Ab gali aur school ke bahar bhi hansi baant kar, Main khush tha video ban hue to nirasha ke haavi hone se, Theek pehle khud acting karne ka plan banaya, Chote bhai ne camera pakda, Aur mere hath aa gayi logon ki nabz.
Masti masti mein video bananeka faisla le liya, Aur gaadi chal nikli log hanste the khush hote the, Apni yahi kamai thi youtube pe naya stage mila, Lekin .. shakal to dekho iski desi content kahan chalega, Ye koi comedy hoti hai kehne walon ne pata nahi kya kya kaha, Par hum to the besharam bas dil ki suni aur dil ki sunayi, Ek din jaise neend tooti toh dekha ki youtube ke aasmaan mein, Main sabse uper tha sab dekh rahe the ye kaha se aa gaya, Aur humare sar par chadd baitha bahut logon ki bolti band hui, Aur kuch naye logon ne bolna shuru kar diya, Par mere chahhanewale hamesha nafrat karnewalon par bhaari pade.
1 million par bhi pyaar ne pahunchaya aaur aaj 20 million par bhi, Yahan tak kaise aaya pata nahi aage kahan jana hai pata nahi, Par itna pata hai ki kismet ne mujhe, Dusaron ki zindagi mein khusi bikherne ke liye chuna hai, Aur mujhe apne kaam poori imaandari se karna hai.
Kabhi hater ki sazis ka shikaar hua toh kabhi maut ke muh se vapas aaya, Anjaan log dost ho gaye aur kuch dost rah mein choot bhi gaye, Par mujhe to apne aansu logon ki hansi ke peeche chupana bachpan se aata hai, Main paani ki taraha aage badh jaunga aap hanste raho bas yahi meri jeet hai, Kyon ki mujhe hansi ki kimaat pata hai baatein bahut saari hai gaane mein bataunga, Aap ka apna amit bhadana.
Written by: Amit Bhadana
If Found Any Mistake in above lyrics?, Report using contact form with correct lyrics!
Dil Se Lyrics - Amit Bhadana

Dil Se Song Info:

Song: Dil Se
Singer(s): Amit Bhadana
Musician(s): Lovepreet Singh
Lyricist(s): Amit Bhadana
Label(©): Amit Bhadana
Scroll to Top